Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dil se rukhsat hui koi khvaahish
girya kuchh be-sabab nahin aataa
دل سے رخصت ہوئی کوئی خواہش
گریہ کچھ بے سبب نہیں آتا
dil se ruḳhsat huī koī ḳhvāhish
girya kuchh be-sabab nahīñ aatā

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
khiDki ne aanhkein kholi
darvaaze kaa dil dhaDkaa
mohabbat kaa tum se asar kyaa kahun
nazar mil gai dil dhaDakne lagaa
hasinon ki donon adaaein hain dilbar
kisi ki hayaa to sharaarat kisi ki
mashghul hain safaai-o-tausi-e-dil mein ham
tangi na is makaan mein ho mehmaan ko