Shayari
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
husn thaa teraa bahut aalam-fareb
khat ke aane par bhi ik aalam rahaa
حسن تھا تیرا بہت عالم فریب
خط کے آنے پر بھی اک عالم رہا
husn thā terā bahut ālam-fareb
ḳhat ke aane par bhī ik aalam rahā

maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
ham be-khudaan-e-mahfil-e-tasvir ab gae
aainda ham se aap mein aayaa na jaaegaa
haath chaDh jaaiyo ai shaikh kisu ke na kabhu
launDe sab tere kharidaar hain maikhaane ke
ham ne to khud ko bhi miTaa Daalaa
tum ne to sirf bevafaai ki
samjhaa liyaa fareb se mujh ko to aap ne
dil se to puchh lijiye kyuun be-qaraar hai
vo kahte hain ye saari bevafaai hai mohabbat ki
na 'muztar' be-vafaa main huun na 'muztar' be-vafaa tum ho
tire aane kaa dhokaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai
doston se dushmani aur dushmanon se dosti
be-muravvat bevafaa be-rahm ye kyaa Dhang hai
ye bhi ik dhokaa thaa nairang-e-tilism-e-aql kaa
apni hasti par bhi hasti kaa huaa dhokaa mujhe