Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq ik 'mir' bhaari patthar hai
kab ye tujh naa-tavaan se uThtaa hai
عشق اک میرؔ بھاری پتھر ہے
کب یہ تجھ ناتواں سے اٹھتا ہے
ishq ik 'mīr' bhārī patthar hai
kab ye tujh nā-tavāñ se uThtā hai

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
qulzum-e-fikr mein hai kashti-e-imaan saalim
naa-khudaa husn hai aur ishq hai langar apnaa
mil-milaa ke donon ne dil ko kar diyaa barbaad
husn ne kiyaa be-khud ishq ne kiyaa aazaad
aankh nam rukh par udaasi dard bhi dil ke qarib
kyaa mohabbat aa gai hai apni manzil ke qarib
shaairi jhuuT sahi ishq fasaana hi sahi
zinda rahne ke liye koi bahaana hi sahi