Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
adaa-e-khaas se 'ghaalib' huaa hai nukta-saraa
salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta-daan ke liye
ادائے خاص سے غالبؔ ہوا ہے نکتہ سرا
صلائے عام ہے یاران نکتہ داں کے لیے
adā-e-ḳhās se 'ġhālib' huā hai nukta-sarā
salā-e-ām hai yārān-e-nukta-dāñ ke liye

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
be-zabaani tarjumaan-e-shauq behad ho to ho
varna pesh-e-yaar kaam aati hai taqrirein kahin
ham subuk-ruh asiron ke liye laazim hai
qafas-e-gul ko kare baad-e-bahaari tayyaar
hai vahaan shaan-e-taghaaful ko jafaa se bhi gurez
iltifaat-e-nigah-e-yaar kahaan se laaun