Shayari
khud rahm kijiye dil-e-ummid-vaar par
aaphi nikaaliye koi surat nibaah ki
M
Mirza Maseeta Beg Muntahisikhlaa rahaa huun dil ko mohabbat ke rang-Dhang
kartaa huun main makaan ki taamir aaj-kal
سکھلا رہا ہوں دل کو محبت کے رنگ ڈھنگ
کرتا ہوں میں مکان کی تعمیر آج کل
सिखला रहा हूँ दिल को मोहब्बत के रंग-ढंग
करता हूँ मैं मकान की ता'मीर आज-कल
khud rahm kijiye dil-e-ummid-vaar par
aaphi nikaaliye koi surat nibaah ki
tere baazaar-e-dahr mein gardun
ham bhi aae hain ik qabaa ke liye
jalaa kar zaahidon ko mai-kashon ko shaad karte hain
giraa kar masjidon ko mai-kade aabaad karte hain
piiri hui shabaab se utraa jhaTak gayaa
shaaer huun meraa misra-e-saani laTak gayaa
baad marne ke Thikaane lag gai miTTi miri
khaak se aashiq ki kyaa kyaa yaar ke saaghar bane
tohmat-e-jurm-o-khataa hirs-o-havaa ghaflat-e-dil
ham ne baazaar se hasti ke liyaa kyaa kyaa kuchh
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo bhi hamaare naam se begaane ho gae
ham ko bhi sach hai un se mohabbat nahin rahi
aisaa nahin ki un se mohabbat na ho magar
pahle saa josh pahle si shiddat nahin rahi
mohabbat to kisi se kar na paae
kisi se tum shikaayat kyaa karoge
mohabbat ki bhi kyaa hotin nahin ai ham-nashin raahein
ki khubaan yuun hamein dukh dein, ham un ko is tarah chaahein