Shayari
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
maanaa ki bazm-e-husn ke aadaab hain bahut
jab dil pe ikhtiyaar na ho kyaa kare koi
مانا کہ بزم حسن کے آداب ہیں بہت
جب دل پہ اختیار نہ ہو کیا کرے کوئی
माना कि बज़्म-ए-हुस्न के आदाब हैं बहुत
जब दिल पे इख़्तियार न हो क्या करे कोई

shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
udaasi ab kisi kaa rang jamne hi nahin deti
kahaan tak phuul barsaae koi gor-e-gharibaan par
nazaa kaa vaqt hai baiThaa hai sirhaane koi
vaqt ab vo hai ki marnaa hamein manzur nahin
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz khudaa-daad nahin
ab chaman mein bhi kisi surat se ji lagtaa nahin
haan magar jab tak qafas mein the qafas badnaam thaa
hamesha tinke hi chunte guzar gai apni
magar chaman mein kahin aashiyaan banaa na sake
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaaron ne meri raah mein divaar khinch kar
mashhur kar diyaa ki mujhe saaya chaahiye
ye chaar din ki rifaaqat bhi kam nahin ai dost
tamaam umr bhalaa kaun saath detaa hai
dushmanon ne jo dushmani ki hai
doston ne bhi kyaa kami ki hai
log Darte hain dushmani se tiri
ham tiri dosti se Darte hain
tumhein to naaz bahut doston pe thaa 'jaalib'
alag-thalag se ho kyaa baat ho gai pyaare