Shayari
main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
aaj phir mujh se kahaa dariyaa ne
kyaa iraada hai bahaa le jaaun
آج پھر مجھ سے کہا دریا نے
کیا ارادہ ہے بہا لے جاؤں
आज फिर मुझ से कहा दरिया ने
क्या इरादा है बहा ले जाऊँ

main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
kamre mein maze ki raushni ho
achchhi si koi kitaab dekhun
nayaa saal divaar par Taang de
puraane baras kaa calendar giraa
aur baazaar se kyaa le jaaun
pahli baarish kaa mazaa le jaaun
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
us se bichhaDte vaqt main royaa thaa khub-saa
ye baat yaad aai to pahron hansaa kiyaa
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
band ho jaataa hai kuuze mein kabhi dariyaa bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jaataa hai
naav na Duubi dariyaa mein
naav mein dariyaa Duub gayaa
zabt-e-gham kaa mire andaaza bhalaa kyaa hotaa
main agar dasht na hotaa bhi to dariyaa hotaa
ye soch ke daanista rahaa us se bahut duur
maghrur hai dariyaa mujhe pyaasaa na samajh le
aasaan to nahin apni hasti se guzar jaanaa
utraa jo samundar mein dariyaa to bahut royaa