Shayari
ammaame ko utaar ke paDhiyo namaaz shaikh
sajde se varna sar ko uThaayaa na jaaegaa
ve suratein ilaahi kis mulk bastiyaan hain
ab dekhne ko jin ke aankhein tarastiyaan hain
وے صورتیں الٰہی کس ملک بستیاں ہیں
اب دیکھنے کو جن کے آنکھیں ترستیاں ہیں
वे सूरतें इलाही किस मुल्क बस्तियाँ हैं
अब देखने को जिन के आँखें तरसतियाँ हैं

ammaame ko utaar ke paDhiyo namaaz shaikh
sajde se varna sar ko uThaayaa na jaaegaa
kis munh se phir tu aap ko kahtaa hai ishq-baaz
ai ru-siyaah tujh se to ye bhi na ho sakaa
firaaq-e-khuld se gandum hai sina-chaak ab tak
ilaahi ho na vatan se koi gharib judaa
'saudaa' se shakhs ke taiin aazurda kijiye
ai khud-parast haif nahin tu vafaa-parast
ishq se to nahin huun main vaaqif
dil ko shoala saa kuchh lipaTtaa hai
ye to nahin kahtaa huun ki sach-much karo insaaf
jhuTi bhi tasalli ho to jiitaa hi rahun main
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
vahi jiine ki aazaadi vahi marne ki jaldi hai
divaali dekh li ham ne dasahre kar liye ham ne
aazaadi ki dhumein hain shohre hain taraqqi ke
har gaam hai paspaai har vaza ghulaamaana
raushni baanTtaa huun sarhadon ke paar bhi main
ham-vatan is liye ghaddaar samajhte hain mujhe
royaa thaa kaun kaun mujhe kuchh khabar nahin
main us ghaDi vatan se kai miil duur thaa