Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
badan par aaj khaamoshi lapeTe
chalaa aaya sadaa hone se pahle
بدن پر آج خاموشی لپیٹے
چلا آیا صدا ہونے سے پہلے
बदन पर आज ख़ामोशी लपेटे
चला आया सदा होने से पहले

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil ek aur hazaar aazmaaishein gham ki
diyaa jalaa to thaa lekin havaa ki zad par thaa
ye anjuman ye qahqahe ye mahvashon ki bhiiD
phir bhi udaas phir bhi akeli hai zindagi
dil vo parvat ki jo ik samt jhukaa jaataa hai
gham vo dariyaa ki jo rahtaa hai ravaan ek taraf