Shayari
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
ik na ik din to chukaanaa hai khamoshi kaa hisaab
jaante sab hain magar boltaa koi nahin hai
اک نہ اک دن تو چکانا ہے خموشی کا حساب
جانتے سب ہیں مگر بولتا کوئی نہیں ہے
इक न इक दिन तो चुकाना है ख़मोशी का हिसाब
जानते सब हैं मगर बोलता कोई नहीं है

bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
mujh ko paane ki tamanna mein vo gharqaab huaa
main ne saahil ki tamanna mein use khoyaa hai
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ilaaj us kaa guzar jaanaa hai jaan se
guzar jaane kaa jaan se Dar rahegaa
khud ko aziyyatein na de mujh ko aziyyatein na de
khud pe bhi ikhtiyaar rakh mujh pe bhi e'tibaar kar
main ab to shahr mein is baat se pahchaanaa jaataa huun
tumhaaraa zikr karnaa aur karte hi chale jaanaa