Shayari
dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
khaTak rahi hai koi shai nikaal de koi
taDap rahaa hai dil-e-be-qaraar siine mein
کھٹک رہی ہے کوئی شے نکال دے کوئی
تڑپ رہا ہے دل بے قرار سینے میں
खटक रही है कोई शय निकाल दे कोई
तड़प रहा है दिल-ए-बे-क़रार सीने में

dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
kuchh is andaaz se sayyaad ne aazaad kiyaa
jo chale chhuT ke qafas se vo giraftaar chale
tiri adaa ki qasam hai tiri adaa ke sivaa
pasand aur kisi ki hamein adaa na hui
tum ko samjhaae 'mubaarak' koi kyunkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhi samjhaane se
miri khaak bhi uDegi baa-adab tiri gali mein
tire aastaan se unchaa na miraa ghubaar hogaa
rahne de apni bandagi zaahid
be-mohabbat khudaa nahin miltaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ulfat ke badle un se milaa dard-e-laa-ilaaj
itnaa baDhe hai dard main jitni davaa karun
ishq se log manaa karte hain
jaise kuchh ikhtiyaar hai apnaa
ishq mein shikva kufr hai aur har iltijaa haraam
toD de kaasa-e-muraad ishq gadaagari nahin
tu jo talvaar se nahlaae lahu mein mujh ko
ghusl-e-sehhat huaa bhi ishq ki bimaari se