Shayari
dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
kuchh is andaaz se sayyaad ne aazaad kiyaa
jo chale chhuT ke qafas se vo giraftaar chale
کچھ اس انداز سے صیاد نے آزاد کیا
جو چلے چھٹ کے قفس سے وہ گرفتار چلے
कुछ इस अंदाज़ से सय्याद ने आज़ाद किया
जो चले छुट के क़फ़स से वो गिरफ़्तार चले

dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
tiri adaa ki qasam hai tiri adaa ke sivaa
pasand aur kisi ki hamein adaa na hui
tum ko samjhaae 'mubaarak' koi kyunkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhi samjhaane se
miri khaak bhi uDegi baa-adab tiri gali mein
tire aastaan se unchaa na miraa ghubaar hogaa
jabin par khaak hai ye kis ke dar ki
balaaein le rahaa huun apne sar ki
rahne de apni bandagi zaahid
be-mohabbat khudaa nahin miltaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
suune kitne baam hue kitne aangan be-nur hue
chaand se chehre yaad aate hain chaand nikalte vaqt bahut
thiin tumhaari jis pe navaazishein kabhi tum bhi jis pe the mehrbaan
ye vahi hai 'akhtar'-e-muslimi tumhein yaad ho ki na yaad ho
zindagi kyaa hue vo apne zamaane vaale
yaad aate hain bahut dil ko dukhaane vaale
ye be-sabab nahin aae hain aankh mein aansu
khushi kaa lamha koi yaad aa gayaa hogaa
zaraa yaadon ke hi patthar uchhaalo
navaah-e-jaan mein sannaaTe bahut hain