Shayari
dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
miri khaak bhi uDegi baa-adab tiri gali mein
tire aastaan se unchaa na miraa ghubaar hogaa
مری خاک بھی اڑے گی با ادب تری گلی میں
ترے آستاں سے اونچا نہ مرا غبار ہوگا
मिरी ख़ाक भी उड़ेगी बा-अदब तिरी गली में
तिरे आस्ताँ से ऊँचा न मिरा ग़ुबार होगा

dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
kuchh is andaaz se sayyaad ne aazaad kiyaa
jo chale chhuT ke qafas se vo giraftaar chale
tiri adaa ki qasam hai tiri adaa ke sivaa
pasand aur kisi ki hamein adaa na hui
tum ko samjhaae 'mubaarak' koi kyunkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhi samjhaane se
jabin par khaak hai ye kis ke dar ki
balaaein le rahaa huun apne sar ki
rahne de apni bandagi zaahid
be-mohabbat khudaa nahin miltaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
fasurda-dil kabhi khalvat na anjuman mein rahe
bahaar ho ke rahe ham to jis chaman mein rahe
mire aashiyaane ke the chaar tinke
chaman luT gayaa aandhiyaan aate aate
chaman vaalon se mujh sahraa-nashin ki bud-o-baash achchhi
bahaar aa kar chali jaati hai viraani nahin jaati