Shayari
miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
munavvar maan ke aage yuun kabhi khul kar nahin ronaa
jahaan buniyaad ho itni nami achchhi nahin hoti
منور ماں کے آگے یوں کبھی کھل کر نہیں رونا
جہاں بنیاد ہو اتنی نمی اچھی نہیں ہوتی
मुनव्वर माँ के आगे यूँ कभी खुल कर नहीं रोना
जहाँ बुनियाद हो इतनी नमी अच्छी नहीं होती

miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
ab aap ki marzi hai sambhaalein na sambhaalein
khushbu ki tarah aap ke rumaal mein ham hain
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
kuchh nahin hogaa to aanchal mein chhupaa legi mujhe
maan kabhi sar pe khuli chhat nahin rahne degi
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khulaa chhoD diyaa thaa
ye soch ke maan baap ki khidmat mein lagaa huun
is peD kaa saayaa mire bachchon ko milegaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ba-zaahir dasht ki jaanib to baDhtaa jaa rahaa hai
magar sab raaste bhi yaad kartaa jaa rahaa hai
mayassar muft mein the aasmaan ke chaand taare tak
zamin ke har khilaune ki magar qimat ziyaada thi
us ke dar par to kisi ki bhi rasaai na hui
le ke sayyaad qafas ko jo idhar se guzraa
banaavaT ho to aisi ho ki jis se saadgi Tapke
ziyaada ho to asli husn chhup jaataa hai zevar se