Shayari
nazar aati hain su-e-asmaan kabhi bijliyaan kabhi aandhiyaan
kahin jal na jaae ye aashiyaan kahin uD na jaaein ye chaar par
jo dil ko de gai ik dard umr-bhar ke liye
taDap rahaa huun abhi tak main us nazar ke liye
جو دل کو دے گئی اک درد عمر بھر کے لیے
تڑپ رہا ہوں ابھی تک میں اس نظر کے لیے
जो दिल को दे गई इक दर्द उम्र-भर के लिए
तड़प रहा हूँ अभी तक मैं उस नज़र के लिए

nazar aati hain su-e-asmaan kabhi bijliyaan kabhi aandhiyaan
kahin jal na jaae ye aashiyaan kahin uD na jaaein ye chaar par
ilaaj ki nahin haajat dil-o-jigar ke liye
bas ik nazar tiri kaafi hai umr-bhar ke liye
pichhe muD muD kar na dekho ai 'munavaar' baDh chalo
shahr mein ahbaab to kam hain sage bhaai bahut
ab kunj-e-lahad mein huun mayassar nahin aansu
aayaa hai shab-e-hijr kaa ronaa mire aage
'munavaar' main ne jab dil par nazar ki
munavvar ik charaagh-e-tur dekhaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
is tarah rahbar ne luuTaa kaarvaan
ai 'fanaa' rahzan ko bhi sadma huaa
phulon ki taazgi mein udaasi hai shaam ki
saae ghamon ke itne to gahre kabhi na the
khaDaa huaa huun sar-e-raah muntazir kab se
ki koi guzre to gham kaa ye bojh uThvaa de