Shayari
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
shahr kaa tabdil honaa shaad rahnaa aur udaas
raunaqein jitni yahaan hain auraton ke dam se hain
شہر کا تبدیل ہونا شاد رہنا اور اداس
رونقیں جتنی یہاں ہیں عورتوں کے دم سے ہیں
शहर का तब्दील होना शाद रहना और उदास
रौनक़ें जितनी यहाँ हैं औरतों के दम से हैं

meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
qaid kar ke ghar ke andar apni tanhaai ko main
muskuraataa gungunaataa ghar se baahar aa gayaa