Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
dekhnaa kam-nigahi kijiyo mat ai saaqi
ba-juz-ushshaaq hai mai sab ko baraabar pahunche
دیکھنا کم نگہی کیجیو مت اے ساقی
بہ جز عشاق ہے مے سب کو برابر پہنچے
देखना कम-निगही कीजियो मत ऐ साक़ी
ब-जुज़-उश्शाक़ है मय सब को बराबर पहुँचे

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
hain pattharon ki zad pe tumhaari gali mein ham
kyaa aae the yahaan isi barsaat ke liye
tire abru-e-pevasta kaa aalam mein fasaana hai
kisi ustaad shaaer kaa ye bait-e-aashiqaana hai
un ko yaan vaade pe aa lene de ai abr-e-bahaar
jis qadar chaahnaa phir baad mein barsaa karnaa
uTThaa jo abr dil ki umangein chamak uThin
lahraain bijliyaan to main lahraa ke pi gayaa
main subh khvaab se jaagaa to ye khayaal aayaa
jo raat mere baraabar thaa kyaa huaa us kaa