Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
siine ke zor se bhi mu bhar nahin ukasti
in rozon hijr ki sil ye bhaari ho gai hai
سینے کے زور سے بھی مو بھر نہیں اکستی
ان روزوں ہجر کی سل یہ بھاری ہو گئی ہے
सीने के ज़ोर से भी मू भर नहीं उकसती
इन रोज़ों हिज्र की सिल ये भारी हो गई है

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
use bataayaa nahin hijr mein jo haal huaa
jo baat sab se zaruri thi vo chhupaa gayaa huun
kaun kitnaa zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko
rail jab chalne lagegi faisla ho jaaegaa
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
mausam hain do hi ishq ke surat koi bhi ho
hain us ke paas aaine hijr-o-visaal ke
jaane kyon hijr ke sabhi mausam
tere lahje mein baat karte hain
anjaam-e-hijr kyaa hai ye tum khud hi dekh lo
ham intizaar-e-yaar mein patthar ke ho gae