Shayari
allaah tere haath hai khuddaariyon ki laaj
daanista haadsaat se Takraa gayaa huun main
dekhiye kab tak yahi haalat yahi aalam rahe
dil ki har dhaDkan ye kahti hai ki vo aane ko hain
دیکھیے کب تک یہی حالت یہی عالم رہے
دل کی ہر دھڑکن یہ کہتی ہے کہ وہ آنے کو ہیں
देखिए कब तक यही हालत यही आलम रहे
दिल की हर धड़कन ये कहती है कि वो आने को हैं

allaah tere haath hai khuddaariyon ki laaj
daanista haadsaat se Takraa gayaa huun main
be-khudi mein shaan-e-khuddaari bhi hai
khvaab mein ehsaas-e-bedaari bhi hai
dil dhaDaktaa hai sitaaron kaa yahaan
uf ye duniyaa kis qadar taarik hai
na samjhaa koi asraar-e-mohabbat
jo samjhaa kuchh dil-e-naadaan samjhaa
aadamiyyat kaa zikr kyaa naaseh
aadmi ab kahaan hain saae hain
shaayad hi raas aae mujhe aish-e-marg bhi
'raahi' gham-e-hayaat kaa maaraa huaa huun main
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye aankhein ye dimaagh ye zakhmon kaa ghar badan
sab mahv-e-khvaab hain dil-e-be-taab ke sivaa
unhein khat mein likkhaa thaa dil muztarib hai javaab un kaa aayaa mohabbat na karte
tumhein dil lagaane ko kis ne kahaa thaa bahal jaaegaa dil bahalte bahalte
'naashaad' na koi naghma hai ye dard bharaa ik naala hai
kyaa samjhe koi dard-e-jigar jab choT na dil par khaai ho
bhalaa koi vaa'da-khilaafi ki had hai hisaab apne dil mein lagaa kar to socho
qayaamat kaa din aa gayaa rafta rafta mulaaqaat kaa din badalte badalte