Shayari
shaayad hi raas aae mujhe aish-e-marg bhi
'raahi' gham-e-hayaat kaa maaraa huaa huun main
be-khudi mein shaan-e-khuddaari bhi hai
khvaab mein ehsaas-e-bedaari bhi hai
بے خودی میں شان خودداری بھی ہے
خواب میں احساس بیداری بھی ہے
बे-ख़ुदी में शान-ए-ख़ुद्दारी भी है
ख़्वाब में एहसास-ए-बेदारी भी है

shaayad hi raas aae mujhe aish-e-marg bhi
'raahi' gham-e-hayaat kaa maaraa huaa huun main
allaah tere haath hai khuddaariyon ki laaj
daanista haadsaat se Takraa gayaa huun main
dil dhaDaktaa hai sitaaron kaa yahaan
uf ye duniyaa kis qadar taarik hai
na samjhaa koi asraar-e-mohabbat
jo samjhaa kuchh dil-e-naadaan samjhaa
aadamiyyat kaa zikr kyaa naaseh
aadmi ab kahaan hain saae hain
dekhiye kab tak yahi haalat yahi aalam rahe
dil ki har dhaDkan ye kahti hai ki vo aane ko hain
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
us ko khonaa asl mein us ko paanaa hai
haasil kaa hi partav hai laa-haasil mein
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain