Shayari
shaayad hi raas aae mujhe aish-e-marg bhi
'raahi' gham-e-hayaat kaa maaraa huaa huun main
khuddaariyon pe ishq ki ilzaam aa gayaa
kyuun be-khudi mein lab pe tiraa naam aa gayaa
خودداریوں پہ عشق کی الزام آ گیا
کیوں بے خودی میں لب پہ ترا نام آ گیا
ख़ुद्दारियों पे इश्क़ की इल्ज़ाम आ गया
क्यूँ बे-ख़ुदी में लब पे तिरा नाम आ गया

shaayad hi raas aae mujhe aish-e-marg bhi
'raahi' gham-e-hayaat kaa maaraa huaa huun main
allaah tere haath hai khuddaariyon ki laaj
daanista haadsaat se Takraa gayaa huun main
be-khudi mein shaan-e-khuddaari bhi hai
khvaab mein ehsaas-e-bedaari bhi hai
dil dhaDaktaa hai sitaaron kaa yahaan
uf ye duniyaa kis qadar taarik hai
na samjhaa koi asraar-e-mohabbat
jo samjhaa kuchh dil-e-naadaan samjhaa
dekhiye kab tak yahi haalat yahi aalam rahe
dil ki har dhaDkan ye kahti hai ki vo aane ko hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ziist mein jab nahin aati kisi 'unvaan pe hansi
aap apne dil-e-naakaam pe hans detaa huun