Shayari
inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
mire ghar ke raaste mein koi kahkashaan nahin hai
vo ik tilism thaa qurbat mein us ke umr kaTi
gale lagaa ke use us ki aarzu karte
وہ اک طلسم تھا قربت میں اس کے عمر کٹی
گلے لگا کے اسے اس کی آرزو کرتے
वो इक तिलिस्म था क़ुर्बत में उस के उम्र कटी
गले लगा के उसे उस की आरज़ू करते

inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
mire ghar ke raaste mein koi kahkashaan nahin hai
dil ke rishte ajiib rishte hain
saans lene se TuuT jaate hain
main usi koh-sifat khuun ki ik buund huun jo
reg-zaar-e-najaf o khaak-e-khuraasaan se milaa
aankh jhuk jaati hai jab band-e-qabaa khulte hain
tujh mein uThte hue khurshid ki uryaani hai
ham anjuman mein sab ki taraf dekhte rahe
apni tarah se koi akelaa nahin milaa
aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-paa nahin milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahin milaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ye umr bhar kaa safar hai isi sahaare par
ki vo khaDaa hai abhi dusre kinaare par
vo gham ho yaa alam ho dard ho yaa aalam-e-vahshat
use apnaa samajh ai zindagi jo tere kaam aae
maatam-e-marg-e-tamannaa na samajh ai naadaan
zindagi bol rahi hai mire afsaane mein