Shayari
abhi farq hai aadmi aadmi mein
abhi duur hai aadmi aadmi se
S
Shauq Asar Rampurimaatam-e-marg-e-tamannaa na samajh ai naadaan
zindagi bol rahi hai mire afsaane mein
ماتم مرگ تمنا نہ سمجھ اے ناداں
زندگی بول رہی ہے مرے افسانے میں
मातम-ए-मर्ग-ए-तमन्ना न समझ ऐ नादाँ
ज़िंदगी बोल रही है मिरे अफ़्साने में
abhi farq hai aadmi aadmi mein
abhi duur hai aadmi aadmi se
shagufta phuul jo dekhe to 'shauq' yaad aayaa
diye the daagh bhi gulshan ne be-shumaar mujhe
mire khayaal ki vusat mein hain hazaar chaman
kahaan kahaan se nikaalegi ye bahaar mujhe
vo gham ho yaa alam ho dard ho yaa aalam-e-vahshat
use apnaa samajh ai zindagi jo tere kaam aae
bataa nasib-e-nasheman main kyaa duaa maangun
jo aasmaan ki taraf raushni nazar aae
aaj tak dair-o-haram mein tegh hi chalti rahi
laakh ham-rindon ne chaahaa shisha-o-saaghar chalein
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain