Shayari
kisi gali mein kiraae pe ghar liyaa us ne
phir us gali mein gharon ke kiraae baDhne lage
kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiaat samajh
کتاب عشق میں ہر آہ ایک آیت ہے
پر آنسوؤں کو حروف مقطعات سمجھ
किताब-ए-इश्क़ में हर आह एक आयत है
पर आँसुओं को हुरूफ़-ए-मुक़त्तिआ'त समझ

kisi gali mein kiraae pe ghar liyaa us ne
phir us gali mein gharon ke kiraae baDhne lage
us ki tah se kabhi daryaaft kiyaa jaaungaa main
jis samundar mein ye sailaab ikaTThe honge
bichhaD gae to ye dil umr bhar lagegaa nahin
lagegaa lagne lagaa hai magar lagegaa nahin
tum pe kyaa khaak asar hogaa mire sheron kaa
tum ko to mir-taqi-'mir' nahin khinch sakaa
ye saat uTh paDosi kahaan se aae mire
tumhaare dil mein to koi na thaa sivaae mire
nikaal laayaa huun ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se pinjra nikaalnaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khun-e-jigar aankhon se bahaayaa gham kaa sahraa paar kiyaa
teri tamannaa ki kyaa ham ne jivan ko aazaar kiyaa
tanhaai ko ghar se rukhsat kar to do
socho kis ke ghar jaaegi tanhaai
ab is se baDh ke mohabbat kisi ko kyaa degi
kisi ki aankh kaa aansu kisi ki aankh mein hai