Shayari
aangan mein ye raat ki raani saanpon kaa ghar kaaT ise
kamra albatta suunaa hai kone mein guldaan lagaa
us ne mujh ko yaad farmaayaa yaqinan
jism mein aayaa huaa hai zalzala saa
اس نے مجھ کو یاد فرمایا یقیناً
جسم میں آیا ہوا ہے زلزلہ سا
उस ने मुझ को याद फ़रमाया यक़ीनन
जिस्म में आया हुआ है ज़लज़ला सा

aangan mein ye raat ki raani saanpon kaa ghar kaaT ise
kamra albatta suunaa hai kone mein guldaan lagaa
roti hui ek bhiiD mire gird khaDi thi
shaayad ye tamaasha mire hansne ke liye thaa
shukriya reshmi dilaase kaa
tiir to aap ne bhi maaraa thaa
bachpan mein aakaash ko chhutaa saa lagtaa thaa
is pipal ki shaakhein ab kitni nichi hain
bataaein kyaa ki bechaini baDhaate hain vahi aa kar
bahut bechain ham jin ke liye maalum hote hain
bheDiye aur ishtiraak-shudaa
biich mein ik hiran halaak-shudaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
main jab bhuke parinde dekhtaa huun apne aangan mein
mujhe apne vatan ke nange bachche yaad aate hain
nahin hai jis kaa hal ab to koi 'nadim' bas ik sivaa tumhaare
main ek aisaa hi masala huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa
ai mire dost mire saath tiri yaadon ki
ret itni hai huaa jaataa hai sahraa chehra
shab kitni bojhal bojhal hai ham tanhaa tanhaa baiThe hain
aise mein tumhaari yaad aai jis tarah koi ilhaam aae