Shayari
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
mohabbat mein kisi ne sar paTakne kaa sabab puchhaa
to kah dungaa ki apni mushkilein aasaan kartaa huun
محبت میں کسی نے سر پٹکنے کا سبب پوچھا
تو کہہ دوں گا کہ اپنی مشکلیں آسان کرتا ہوں
मोहब्बत में किसी ने सर पटकने का सबब पूछा
तो कह दूँगा कि अपनी मुश्किलें आसान करता हूँ

ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
un kaa ik patlaa saa khanjar un kaa ik naazuk saa haath
vo to ye kahiye miri gardan khushi mein kaT gai
tum agar chaaho to miTTi se abhi paidaa hon phuul
main agar maangun to dariyaa bhi na de paani mujhe
zulf ko kyuun jakaD ke baandhaa hai
us ne bosa liyaa thaa gaal kaa kyaa
mire dil ne jhaTke uThaae hain kitne ye tum apni zulfon ke baalon se puchho
kaleje ki choTon ko main kyaa bataaun ye chhaati pe lahraane vaalon se puchho
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab milaa husn bhi harjaai to us bazm se ham
ishq-e-aavaara ko betaab uThaa kar le aae
ishq maashuq ishq aashiq hai
yaani apnaa hi mubtalaa hai ishq
ishq mein ji ko sabr o taab kahaan
us se aankhein laDin to khvaab kahaan