Shayari
lafz bhi jis ahd mein kho baiThe apnaa e'tibaar
khaamushi ko is mein kitnaa mo'tabar main ne kiyaa
aavaazon ki bhiiD mein itne shor-sharaabe mein
apni bhi ik raae rakhnaa kitnaa mushkil hai
آوازوں کی بھیڑ میں اتنے شور شرابے میں
اپنی بھی اک رائے رکھنا کتنا مشکل ہے
आवाज़ों की भीड़ में इतने शोर-शराबे में
अपनी भी इक राय रखना कितना मुश्किल है

lafz bhi jis ahd mein kho baiThe apnaa e'tibaar
khaamushi ko is mein kitnaa mo'tabar main ne kiyaa
ba-naam-e-amn-o-amaan kaun maaraa jaaegaa
na jaane aaj yahaan kaun maaraa jaaegaa
jo yaad-e-yaar se guft-o-shunid kar li hai
to goyaa phuul se khushbu kashid kar li hai
jo baat ki thi havaa mein bikharne vaali thi
jo khat likhaa thaa vo purzon mein baTne vaalaa thaa
diye ab shahr mein raushan nahin hain
havaa ki hukmaraani ho gai kyaa
kabhi to sard lagaa dopahar kaa suraj bhi
kabhi badan ke liye ik kiran ziyaada hui
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
aage kuchh baDh kar milegi masjid-e-jaame 'riyaaz'
ik zaraa muD jaaiyegaa mai-kade ke dar se aap
rindon ko paabandi-e-duniyaa kahaan
kashti-e-mai ko nahin langar ki chaah
maston mein phuuT paD gai aate hi yaar ke
laDtaa hai aaj shishe se shisha sharaab kaa
jaam-e-aqiq zard hai nargis ke haath mein
taqsim kar rahaa hai mai-e-arghavaan basant