Shayari
mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
aage kuchh baDh kar milegi masjid-e-jaame 'riyaaz'
ik zaraa muD jaaiyegaa mai-kade ke dar se aap
آگے کچھ بڑھ کر ملے گی مسجد جامع ریاضؔ
اک ذرا مڑ جائیے گا میکدے کے در سے آپ
aage kuchh baḌh kar milegī masjid-e-jāme 'riyāz'
ik zarā muḌ jā.iyegā mai-kade ke dar se aap

mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
aap aae to khayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
ham jaante hain lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd mein kahaan jo mazaa hai udhaar mein
baDe paak tinat baDe saaf baatin
'riyaaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
aisi hi intizaar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaaq mein apni basar na ho
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
kyunkar na lutf baada-kashi kaa ho aab mein
baarish mein jo huruf hain vo hain sharaab mein
ruuh se lipTe dard ke manzar
TuuT rahe hain zakhm ke paikar
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
niind kaa halkaa gulaabi saa khumaar aankhon mein thaa
yuun lagaa jaise vo shab ko der tak soyaa nahin