Shayari
kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalein
aae hain is gali mein to patthar hi le chalein
havaa bhi chal rahi hai aur jaagti hai raat bhi
jo aap kuchh kahein to ham sunaaein dil ki baat bhi
ہوا بھی چل رہی ہے اور جاگتی ہے رات بھی
جو آپ کچھ کہیں تو ہم سنائیں دل کی بات بھی
हवा भी चल रही है और जागती है रात भी
जो आप कुछ कहें तो हम सुनाएँ दिल की बात भी

kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalein
aae hain is gali mein to patthar hi le chalein
vo raat kaa be-navaa musaafir vo teraa shaair vo teraa 'naasir'
tiri gali tak to ham ne dekhaa thaa phir na jaane kidhar gayaa vo
akele ghar se puchhti hai be-kasi
tiraa diyaa jalaane vaale kyaa hue
girafta-dil hain bahut aaj tere divaane
khudaa kare koi tere sivaa na pahchaane
jurm-e-ummid ki sazaa hi de
mere haq mein bhi kuchh sunaa hi de
nae kapDe badal kar jaaun kahaan aur baal banaaun kis ke liye
vo shakhs to shahr hi chhoD gayaa main baahar jaaun kis ke liye
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
nigaah o dil mein vahi karbalaa kaa manzar thaa
main tishna-lab thi mire saamne samundar thaa
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
abhi to mansab-e-hasti se main haTaa hi nahin
badal gae hain mire doston ke lahje bhi
hadaf jis kaa faqat dil ho main aise tiir ke qurbaan
badan jis se na ghaael ho main us shamshir ke qurbaan