Shayari
umr bhar ki baat bigDi ik zaraa si baat mein
ek lamha zindagi bhar ki kamaai khaa gayaa
aas hi se dil mein paidaa zindagi hone lagi
shama jalne bhi na paai raushni hone lagi
آس ہی سے دل میں پیدا زندگی ہونے لگی
شمع جلنے بھی نہ پائی روشنی ہونے لگی
आस ही से दिल में पैदा ज़िंदगी होने लगी
शम्अ जलने भी न पाई रौशनी होने लगी

umr bhar ki baat bigDi ik zaraa si baat mein
ek lamha zindagi bhar ki kamaai khaa gayaa
bad-gumaani ko baDhaa kar tum ne ye kyaa kar diyaa
khud bhi tanhaa ho gae mujh ko bhi tanhaa kar diyaa
ye inaayatein ghazab ki ye balaa ki mehrbaani
miri khairiyat bhi puchhi kisi aur ki zabaani
vo aaina huun jo kabhi kamre mein sajaa thaa
ab gir ke jo TuuTaa huun to raste mein paDaa huun
dusron se kab talak ham pyaas kaa shikva karein
laao tesha ek dariyaa dusraa paidaa karein
andheraa maangne aayaa thaa raushni ki bhiik
ham apnaa ghar na jalaate to aur kyaa karte
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein