Shayari
ek be-chehra si ummid hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaalaa
har taraf har jagah be-shumaar aadmi
phir bhi tanhaaiyon kaa shikaar aadmi
ہر طرف ہر جگہ بے شمار آدمی
پھر بھی تنہائیوں کا شکار آدمی
har taraf har jagah be-shumār aadmī
phir bhī tanhā.iyoñ kā shikār aadmī

ek be-chehra si ummid hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaalaa
kuchh bhi bachaa na kahne ko har baat ho gai
aao kahin sharaab piyein raat ho gai
apne lahje ki hifaazat kijiye
sher ho jaate hain naa-maalum bhi
ghi misri bhi bhej kabhi akhbaaron mein
kai dinon se chaae hai kaDvi yaa allaah
zaruri kyaa har ik mahfil mein baiThein
takalluf ki ravaa-daari se bachiye
yuun to qadam qadam pe hai divaar saamne
koi na ho to khud se ulajh jaanaa chaahiye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
barsaat muflison ki sadaa se raqib hai
kachche makaan girne kaa mausam 'ajib hai
sirf hangaama khaDaa karnaa miraa maqsad nahin
meri koshish hai ki ye surat badalni chaahiye
aaj us ne hans ke yuun puchhaa mizaaj
umr bhar ke ranj-o-gham yaad aa gae