Shayari
hamaaraa kaam to mausam kaa dhyaan karnaa hai
aur us ke baa'd ke sab kaam shash-jahaat ke hain
makin-e-dil ko khaanumaa-kharaabiyon se ishq thaa
qayaam DhunDhtaa rahaa tumhaari chhat ke baa'd bhi
مکین دل کو خانماں خراب سے عشق تھا
قیام ڈھونڈھتا رہا تمہاری چھت کے بعد بھی
मकीन-ए-दिल को ख़ानुमा-ख़राबियों से इश्क़ था
क़याम ढूँढता रहा तुम्हारी छत के बा'द भी

hamaaraa kaam to mausam kaa dhyaan karnaa hai
aur us ke baa'd ke sab kaam shash-jahaat ke hain
main ek khaana-ba-dosh huun jis kaa ghar hai duniyaa
so apne kaandhe pe le ke ye ghar bhaTak rahaa huun
main tujh se milne samay se pahle pahunch gayaa thaa
so tere ghar ke qarib aa kar bhaTak rahaa huun
ye tai huaa thaa ki khuub roeinge jab mileinge
ab us ke shaane pe sar hai to hanste jaa rahe hain
ye jism tang hai siine mein bhi lahu kam hai
dil ab vo phuul hai jis mein ki rang-o-bu kam hai
main apni maut se khalvat mein milnaa chaahtaa huun
so meri naav mein bas main huun naakhudaa nahin hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyaan
shahr kaa shahr hamaaraa to nahin ho saktaa
bichhaDne kaa iraada hai to mujh se mashvara kar lo
mohabbat mein koi bhi faisla zaati nahin hotaa
maktab-e-ishq kaa dastur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTi na mile jis ko sabaq yaad rahe
mujh mein thoDi si jagah bhi nahin nafrat ke liye
main to har vaqt mohabbat se bharaa rahtaa huun