Shayari
maani-e-raushan jo hon to sau se behtar ek sher
matla-e-khurshid kaafi hai pae-divaan-e-subh
laae us but ko iltijaa kar ke
kufr TuuTaa khudaa khudaa kar ke
لائے اس بت کو التجا کر کے
کفر ٹوٹا خدا خدا کر کے
लाए उस बुत को इल्तिजा कर के
कुफ़्र टूटा ख़ुदा ख़ुदा कर के

maani-e-raushan jo hon to sau se behtar ek sher
matla-e-khurshid kaafi hai pae-divaan-e-subh
pahunchi na raahat ham se kisi ko balki aziyyat kosh hue
zinda the to baar-e-shikam the mar ke vabaal-e-dosh hue
jab na jite-ji mire kaam aaegi
kyaa ye duniyaa aaqibat bakhshvaaegi
samjhaa hai haq ko apne hi jaanib har ek shakhs
ye chaand us ke saath chalaa jo jidhar gayaa
junun ki chaak-zani ne asar kiyaa vaan bhi
jo khat mein haal likhaa thaa vo khat kaa haal huaa
jab mile do dil mukhil phir kaun hai
baiTh jaao khud hayaa uTh jaaegi
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
abr barse to inaayat us ki
shaakh to sirf duaa karti hai
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
main ne din raat khudaa se ye duaa maangi thi
koi aahaT na ho dar par mire jab tu aae
vasl ki raat jo mahbub kahe good night
qaaeda ye hai ki english mein duaa di jaae