Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tujhe manaaun ki apni anaa ki baat sunun
ulajh rahaa hai mire faislon kaa resham phir
تجھے مناؤں کہ اپنی انا کی بات سنوں
الجھ رہا ہے مرے فیصلوں کا ریشم پھر
tujhe manā.ūñ ki apnī anā kī baat sunūñ
ulajh rahā hai mire faisloñ kā resham phir

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main sach kahungi magar phir bhi haar jaaungi
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
vo kahin bhi gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahi baat hai achchhi mire harjaai ki
laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajiib
hans rahi hain aur kaajal bhigtaa hai saath saath
tu badaltaa hai to be-saakhta meri aankhein
apne haathon ki lakiron se ulajh jaati hain
ab to is raah se vo shakhs guzartaa bhi nahin
ab kis ummid pe darvaaze se jhaanke koi
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
hamaare shahr mein ab har taraf vahshat barasti hai
so ab jangal mein apnaa ghar banaanaa chaahte hain ham
masala ye nahin ki ishq huaa hai ham ko
masala ye hai ki izhaar kiyaa jaanaa hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
vo khiDki ab aur kisi ko takti hai
main ne bhi us gali mein jaanaa chhoD diyaa