Shayari
idhar aate un ke qadam dekhte hain
sitam hai ki hai ye karam dekhte hain
khud-kushi ik aakhiri koshish hai zinda rahne ki
khud-kushi karne ko ik parvaah bhi to chaahiye
خودکشی اک آخری کوشش ہے زندہ رہنے کی
خودکشی کرنے کو اک پرواہ بھی تو چاہیئے
ख़ुद-कुशी इक आख़िरी कोशिश है ज़िंदा रहने की
ख़ुद-कुशी करने को इक परवाह भी तो चाहिए

idhar aate un ke qadam dekhte hain
sitam hai ki hai ye karam dekhte hain
bahut milne se aib dikhte hain kam-kam
bahut dekhte hain jo kam dekhte hain
ham sahraa vaale hain badraa ye prem ki rim-jhim aur kahin
aanaa hai yahaan to aaiyo tu jam kar jham-jham karne ke liye
kiije izhaar-e-mohabbat chaahe jo anjaam ho
zindagi mein zindagi jaisaa koi to kaam ho
jo kahkashaan si nazar aati hain miri aankhein
guzishta shab ke ye aansu hain jo sitaare hue
dil ko honaa hai fanaa rahnaa hai qaaem aql ko
hasti-e-aadam kahaan jaae ye fitrat chhoD kar
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
miri chaahaton mein ghurur ho dil-e-naa-tavaan mein surur ho
tumhein ab ke khaanaa hai vo qasam ki fareb mein bhi yaqin ho
use ye zid thi ki phir us kaa tazkira hotaa
main chup rahaa ki vo qissa puraanaa ho gayaa thaa
mujhe charaagh bujhaanaa paDaa thaa majburan
tumhaaraa saayaa nahin jaa rahaa thaa kyaa kartaa