Shayari
ghar lauT ke roeinge maan baap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
shaaeri pahle rasulon ki duaa thi 'qaisar'
aaj is ahd mein ik shoabda-e-zaat hui
شاعری پہلے رسولوں کی دعا تھی قیصرؔ
آج اس عہد میں اک شعبدۂ ذات ہوئی
शायरी पहले रसूलों की दुआ थी 'क़ैसर'
आज इस अहद में इक शोबदा-ए-ज़ात हुई

ghar lauT ke roeinge maan baap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
zindagi bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale
main abhi tak tiri tasvir liye baiThaa huun
havaa khafaa thi magar itni sang-dil bhi na thi
hamin ko shama jalaane kaa hausla na huaa
divaaron se mil kar ronaa achchhaa lagtaa hai
ham bhi paagal ho jaaeinge aisaa lagtaa hai
kitne dinon ke pyaase honge yaaro socho to
shabnam kaa qatra bhi jin ko dariyaa lagtaa hai
tumhaare shahr kaa mausam baDaa suhaanaa lage
main ek shaam churaa luun agar buraa na lage
du'aaein maan ki pahunchaane ko milon-mil jaati hain
ki jab pardes jaane ke liye beTaa nikaltaa hai
labon pe us ke kabhi bad-du'aa nahin hoti
bas ek maan hai jo mujh se khafaa nahin hoti
kisi ke harf-e-tamannaa ki intihaa huun main
kisi ke harf-e-duaa ne miri hifaazat ki
bahut dilon ko sataayaa hai tu ne ai zaalim
mujhe ye Dar hai koi shakhs bad-duaa na kare
dam jo niklaa to muddaaa niklaa
ek ke saath dusraa niklaa
jaane kab se haath baandhe kar rahaa huun iltijaa
ab to meri baat par aamin kah de zindagi