Shayari
dil unhein deinge magar ham deinge in sharton ke saath
aazmaa kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
dam jo niklaa to muddaaa niklaa
ek ke saath dusraa niklaa
دم جو نکلا تو مدعا نکلا
ایک کے ساتھ دوسرا نکلا
दम जो निकला तो मुद्दआ निकला
एक के साथ दूसरा निकला

dil unhein deinge magar ham deinge in sharton ke saath
aazmaa kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
jab zikr kiyaa main ne kabhi vasl kaa un se
vo kahne lage paak mohabbat hai baDi chiiz
vo haath mein talvaar liye sar pe khaDe hain
marne nahin deti mujhe marne ki khushi aaj
jo ahl-e-zauq hain vo lutf uThaa lete hain chal phir kar
gulistaan kaa gulistaan mein bayaabaan kaa bayaabaan mein
koi yahaan se chal diyaa raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh rahaa huun ghar ko main ghar hai magar vo ghar nahin
nuuh baiThe hain chaarpaai par
chaarpaai pe nuuh baiThe hain
jaane kab se haath baandhe kar rahaa huun iltijaa
ab to meri baat par aamin kah de zindagi
qalam ki nok pe rakkhe hue charaagh hain ham
havaa chale to hamaare liye du'aa karnaa
hui surat na kuchh apni shifaa ki
davaa ki muddaton barson duaa ki
jis ko bhulaane ki khaatir ro ro ke du'aaein maangi thiin
raat ko us kaa yaad na aanaa yaad aayaa to royaa bahut
nahin mumkin lab-e-aashiq se harf-e-muddaaa nikle
jise tum ne kiyaa khaamosh us se kyaa sadaa nikle
tumhaaraa muddaaa hi jab samajh mein kuchh nahin aayaa
to phir mujh par nazar Daali ye tum ne mehrbaan kaisi