Shayari
maut aa jaae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihaai ki
R
Rind Lakhnavikhuli hai kunj-e-qafas mein miri zabaan sayyaad
main maajraa-e-chaman kyaa karun bayaan sayyaad
کھلی ہے کنج قفس میں مری زباں صیاد
میں ماجرائے چمن کیا کروں بیاں صیاد
खुली है कुंज-ए-क़फ़स में मिरी ज़बाँ सय्याद
मैं माजरा-ए-चमन क्या करूँ बयाँ सय्याद
maut aa jaae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihaai ki
ham jo kahte hain saraasar hai ghalat
sab bajaa aap jo farmaaiyegaa
kaafir huun na phunkun jo tire kaabe mein ai shaikh
naaqus baghal mein hai musallaa na samajhnaa
mai pilaa aisi ki saaqi na rahe hosh mujhe
ek saaghar se do aalam hon faraamosh mujhe
mai-kash huun vo ki puchhtaa huun uTh ke hashr mein
kyuun ji sharaab ki hain dukaanein yahaan kahin
agari kaa hai gumaan shak hai malaagiri kaa
rang laayaa hai dupaTTa tiraa mailaa ho kar
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
bujhne nahin diyaa ise furqat ke baa'd bhi
yaadon se teri dil ko farozaan rakhaa sadaa
aankh se duur sahi dil se kahaan jaaegaa
jaane vaale tu hamein yaad bahut aaegaa
dil mein zauq-e-vasl o yaad-e-yaar tak baaqi nahin
aag is ghar mein lagi aisi ki jo thaa jal gayaa
maat khaai hai aksar shaah ne pyaade se
farq kuchh nahin paDtaa taaj aur libaade se