Shayari
puchho to ek ek hai tanhaa sulag rahaa
dekho to shahr shahr hai mela lagaa huaa
yaad aayaa bhi to yuun ahd-e-vafaa
aah ki be-asari yaad aai
یاد آیا بھی تو یوں عہد وفا
آہ کی بے اثری یاد آئی
याद आया भी तो यूँ अहद-ए-वफ़ा
आह की बे-असरी याद आई

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
musaafirat kaa valvala siyaahaton kaa mashghala
jo tum mein kuchh ziyaada hai safar karo safar karo
aisaa ek maqaam ho jis mein dil jaisi viraani ho
yaadon jaisi tez havaa ho dard se gahraa paani ho
yaad-e-maazi 'azaab hai yaa-rab
chhin le mujh se haafiza meraa
raatein saari karvaT mein hi biit rahin
yaadein bhi kitni bechaini deti hain