Shayari
us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
yaad-e-maazi 'azaab hai yaa-rab
chhin le mujh se haafiza meraa
یاد ماضی عذاب ہے یارب
چھین لے مجھ سے حافظہ میرا
याद-ए-माज़ी 'अज़ाब है या-रब
छीन ले मुझ से हाफ़िज़ा मेरा

us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
samajhtaa huun main sab kuchh sirf samjhaanaa nahin aataa
taDaptaa huun magar auron ko taDpaanaa nahin aataa
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
yaaron ke ikhlaas se pahle dil kaa mire ye haal na thaa
ab vo chaknaachur paDaa hai jis shishe mein baal na thaa
rang o bu mein Duube rahte the havaas
haae kyaa shai thi bahaar-e-aarzu
ragon mein dauDti hain bijliyaan lahu ke evaz
shabaab kahte hain jis chiiz ko qayaamat hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ab aadmi kuchh aur hamaari nazar mein hai
jab se sunaa hai yaar libaas-e-bashar mein hai
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the
ye soch kar bhi hans na sake ham shikasta-dil
yaaraan-e-gham-gusaar kaa dil TuuT jaaegaa