Shayari
tumhaare hisse ke jitne bhi gham hain main le luun
mire nasib ki har ik khushi mile tum ko
miraa fakhr-e-hayaati aaj bhi kirdaar hai meraa
isi nag se muzayyan turra-e-dastaar hai meraa
مرا فخر حیاتی آج بھی کردار ہے میرا
اسی نگ سے مزین طرۂ دستار ہے میرا
मिरा फ़ख़्र-ए-हयाती आज भी किरदार है मेरा
इसी नग से मुज़य्यन तुर्रा-ए-दस्तार है मेरा

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne