Shayari
mujhe to yaad hai ab tak vo kyaa zamaana thaa
tire javaab kaa mausam mire savaal ke din
khud-kushi qatl-e-anaa tark-e-tamannaa bairaag
zindagi tere nazar aane lage hal kitne
خود کشی قتل انا ترک تمنا بیراگ
زندگی تیرے نظر آنے لگے حل کتنے
ख़ुद-कुशी क़त्ल-ए-अना तर्क-ए-तमन्ना बैराग
ज़िंदगी तेरे नज़र आने लगे हल कितने

mujhe to yaad hai ab tak vo kyaa zamaana thaa
tire javaab kaa mausam mire savaal ke din
miri baatein hamesha hi tumhein yunhi si lagti hain to mat sunnaa
magar kuchh ho hi jaae to na pachhtaao na ghabraao kahaa thaa naa
kis saliqe se khayaalon ko zabaan de de kar
mujh ko us shakhs ne baaton mein lagaae rakhaa
sab se baDaa ye jurm thaa meraa isi liye badnaam hui
saari duniyaa jahaan giri thi usi moD par sanbhli main
koi shahnaai se kah do zaraa khaamosh rahe
shor achchhaa nahin lagtaa mujhe baaraaton kaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi