Shayari
aadmi ki talaash mein hai khudaa
aadmi ko khudaa nahin miltaa
dil kai roz se dhaDaktaa hai
hai kisi haadse ki tayyaari
دل کئی روز سے دھڑکتا ہے
ہے کسی حادثے کی تیاری
दिल कई रोज़ से धड़कता है
है किसी हादसे की तय्यारी

aadmi ki talaash mein hai khudaa
aadmi ko khudaa nahin miltaa
apne ko talaash kar rahaa huun
apni hi talab se Dar rahaa huun
sirf taarikh ki raftaar badal jaaegi
nai taarikh ke vaaris yahi insaan honge
ham apne haal-e-pareshaan pe baarhaa roe
aur us ke baa'd hansi ham ko baarhaa aai
khaamosh zindagi jo basar kar rahe hain ham
gahre samundaron mein safar kar rahe hain ham
sadiyon tak ehtimaam-e-shab-e-hijr mein rahe
sadiyon se intizaar-e-sahar kar rahe hain ham
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram