Shayari
aadmi ki talaash mein hai khudaa
aadmi ko khudaa nahin miltaa
sirf taarikh ki raftaar badal jaaegi
nai taarikh ke vaaris yahi insaan honge
صرف تاریخ کی رفتار بدل جائے گی
نئی تاریخ کے وارث یہی انساں ہوں گے
सिर्फ़ तारीख़ की रफ़्तार बदल जाएगी
नई तारीख़ के वारिस यही इंसाँ होंगे

aadmi ki talaash mein hai khudaa
aadmi ko khudaa nahin miltaa
apne ko talaash kar rahaa huun
apni hi talab se Dar rahaa huun
ham apne haal-e-pareshaan pe baarhaa roe
aur us ke baa'd hansi ham ko baarhaa aai
khaamosh zindagi jo basar kar rahe hain ham
gahre samundaron mein safar kar rahe hain ham
ham apni zindagi to basar kar chuke 'rais'
ye kis ki ziist hai jo basar kar rahe hain ham
sadiyon tak ehtimaam-e-shab-e-hijr mein rahe
sadiyon se intizaar-e-sahar kar rahe hain ham
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
dil par pahan liyaa hai vo gajre ke jaisaa shakhs
lekin gale kaa haar nahin kar rahaa huun main