Shayari
yaad tiri jaise ki sar-e-shaam
dhund utar jaae paani mein
ai dost main khaamosh kisi Dar se nahin thaa
qaail hi tiri baat kaa andar se nahin thaa
اے دوست میں خاموش کسی ڈر سے نہیں تھا
قائل ہی تری بات کا اندر سے نہیں تھا
ऐ दोस्त मैं ख़ामोश किसी डर से नहीं था
क़ाइल ही तिरी बात का अंदर से नहीं था

yaad tiri jaise ki sar-e-shaam
dhund utar jaae paani mein
thi paanv mein koi zanjir bach gae varna
ram-e-havaa kaa tamaashaa yahaan rahaa hai bahut
koi bhuli hui shai taaq-e-har-manzar pe rakkhi thi
sitaare chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi
shaamil huun qaafile mein magar sar mein dhund hai
shaayad hai koi raah judaa bhi mire liye
paiham mauj-e-imkaani mein
aglaa paanv nae paani mein
mohabbatein na rahin us ke dil mein mere liye
magar vo miltaa thaa hans kar ki vaza-daar jo thaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
zamin ki god mein maaein bhi jaa ke soti hain
zamin maan ki bhi maan hai zamin se pyaar karo