Shayari
tire intizaar mein is tarah miraa ahad-e-shauq guzar gayaa
sar-e-shaam jaise bisaat-e-dil koi khasta-haal sameT le
ham os ke qatre hain ki bikhre hue moti
dhokaa nazar aae to hamein rol ke dekho
ہم اوس کے قطرے ہیں کہ بکھرے ہوئے موتی
دھوکا نظر آئے تو ہمیں رول کے دیکھو
हम ओस के क़तरे हैं कि बिखरे हुए मोती
धोका नज़र आए तो हमें रोल के देखो

tire intizaar mein is tarah miraa ahad-e-shauq guzar gayaa
sar-e-shaam jaise bisaat-e-dil koi khasta-haal sameT le
jo tere gham mein jale hain vo phir bujhe hi nahin
jab in ki raakh kuredo sharaare zinda hain
zindagi kashmakash-e-vaqt mein guzri apni
din ne jiine na diyaa raat ne marne na diyaa
aansu jo bahein surkh to ho jaati hain aankhein
dil aisaa sulagtaa hai dhuaan tak nahin aataa
zindagi to sapnaa hai kaun 'raam' apnaa hai
kyaa kisi ko dukh denaa kyaa kisi kaa gham karnaa
ab kahaan vo pahli si fursatein mayassar hain
saaraa din safar karnaa saari raat gham karnaa
shauq kitne fareb detaa hai
muskuraa kar hamaaraa naam na le
mauj-e-takhayyul gul kaa tabassum partav-e-shabnam bijli kaa saaya
dhokaa hai dhokaa naam-e-javaani is ko javaani koi na samjhe
miri ghazal mein kisi bevafaa kaa zikr na thaa
na jaane kaise tiraa tazkira nikal aayaa
subh-dam zulfein na yuun bikhraaiye
log dhokaa khaa rahe hain shaam kaa
bevafaa logon mein rahnaa tiri qismat hi sahi
in mein shaamil main tiraa naam na hone dungaa
nazar se duur hain dil se judaa na ham hain na tum
gila karein bhi to kyaa be-vafaa na ham hain na tum