Shayari
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
bevafaa logon mein rahnaa tiri qismat hi sahi
in mein shaamil main tiraa naam na hone dungaa
بے وفا لوگوں میں رہنا تری قسمت ہی سہی
ان میں شامل میں ترا نام نہ ہونے دوں گا
बेवफ़ा लोगों में रहना तिरी क़िस्मत ही सही
इन में शामिल मैं तिरा नाम न होने दूँगा

duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
us se bichhaD ke ek usi kaa haal nahin main jaan sakaa
vaise khabar to har pal mujh tak duniyaa bhar ki aati rahi
ham itnaa chaahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur vo meri misaal ho ke rahaa
apni yaadein us se vaapas maang kar
main ne apne-aap ko yakjaa kiyaa
main aise jamghaTe mein kho gayaa huun
jahaan mere sivaa koi nahin hai
har shakhs bichhaD chukaa hai mujh se
kyaa jaaniye kis ko DhunDhtaa huun
zaahid tiraa to diin saraasar fareb hai
rishte se tere subha ke zunnaar hi bhalaa
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
maujud mere dil mein jo zakhmon ke daagh hain
vo ek bevafaa ke sitam ke charaagh hain
dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi
jis ko dhokaa main samajhtaa thaa vo dhokaa bhi gayaa
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
baDe vasuq se duniyaa fareb deti rahi
baDe khulus se ham e'tibaar karte rahe