Shayari
tire intizaar mein is tarah miraa ahad-e-shauq guzar gayaa
sar-e-shaam jaise bisaat-e-dil koi khasta-haal sameT le
zindagi to sapnaa hai kaun 'raam' apnaa hai
kyaa kisi ko dukh denaa kyaa kisi kaa gham karnaa
زندگی تو سپنا ہے کون رامؔ اپنا ہے
کیا کسی کو دکھ دینا کیا کسی کا غم کرنا
ज़िंदगी तो सपना है कौन 'राम' अपना है
क्या किसी को दुख देना क्या किसी का ग़म करना

tire intizaar mein is tarah miraa ahad-e-shauq guzar gayaa
sar-e-shaam jaise bisaat-e-dil koi khasta-haal sameT le
jo tere gham mein jale hain vo phir bujhe hi nahin
jab in ki raakh kuredo sharaare zinda hain
zindagi kashmakash-e-vaqt mein guzri apni
din ne jiine na diyaa raat ne marne na diyaa
aansu jo bahein surkh to ho jaati hain aankhein
dil aisaa sulagtaa hai dhuaan tak nahin aataa
ab kahaan vo pahli si fursatein mayassar hain
saaraa din safar karnaa saari raat gham karnaa
ham os ke qatre hain ki bikhre hue moti
dhokaa nazar aae to hamein rol ke dekho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aaj phir dab gaiin dard ki siskiyaan
aaj phir gunjtaa qahqaha rah gayaa
main khushi mein ghir ke udaas huun
koi aur is kaa sabab nahin
main to itnaa bhi samajhne se rahaa hon qaasir
raah takne ke sivaa aankh kaa maqsad kyaa hai