Shayari
gale lagaa ke mujhe puchh masala kyaa hai
main Dar rahaa huun tujhe haal-e-dil sunaane se
aao aankhein milaa ke dekhte hain
kaun kitnaa udaas rahtaa hai
آؤ آنکھیں ملا کے دیکھتے ہیں
کون کتنا اداس رہتا ہے
आओ आँखें मिला के देखते हैं
कौन कितना उदास रहता है

gale lagaa ke mujhe puchh masala kyaa hai
main Dar rahaa huun tujhe haal-e-dil sunaane se
zindagi dekh tiri khaas riaayat hogi
ik mohabbat hai mire paas agar karne de
hazaar raste tire hijr ke ilaaj ke hain
ham ahl-e-ishq zaraa mukhtalif mizaaj ke hain
nukta yahi azal se paDhaayaa gayaa hamein
havvaa baraae-husn hai aadam baraae-ishq
iinT se iinT joD kar, khvaab banaa rahaa huun main
rakhne na Daal mere yaar' khvaab ki dekh-bhaal mein
agarche roz miraa sabr aazmaataa hai
magar ye dariyaa mujhe tairnaa sikhaataa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aangan aangan khuun ke chhinTe chehra chehra be-chehra
kis kis ghar kaa zikr karun mein kis kis ke sadmaat likhun
chaman kharaab kiyaa, ho khizaan kaa khaana-kharaab
na gul rahaa hai na bulbul hai baaghbaan tanhaa
main piir ho gayaa huun aur ab tak javaan hai dard
mere murid ho jo tumhein dostaan hai dard