Shayari
puchhti rahti hai jo qaisar-o-kisraa kaa mizaaj
shaan ye khaak-nashinon mein kahaan se aai
ishq mein dil kaa ye manzar dekhaa
aag mein jaise samundar dekhaa
عشق میں دل کا یہ منظر دیکھا
آگ میں جیسے سمندر دیکھا
इश्क़ में दिल का ये मंज़र देखा
आग में जैसे समुंदर देखा

puchhti rahti hai jo qaisar-o-kisraa kaa mizaaj
shaan ye khaak-nashinon mein kahaan se aai
hasin surat hamein hamesha hasin hi maalum kyuun na hoti
hasin andaaz-e-dil-navaazi hasin-tar naaz barhami kaa
kushta-e-zabt-e-fughaan naghma-e-be-saaz-o-sadaa
uf vo aansu jo lahu ban ke Tapaktaa hogaa
koi saaghar pe saaghar pi rahaa hai koi tishna hai
murattab is tarah aain-e-mai-khaana nahin hotaa
jo musaafir bhi tire kuche se guzraa hogaa
apni nazron ko bhi divaar samajhtaa hogaa
har taraf hain khaana-barbaadi ke manzar be-shumaar
kuchh Thikaana hai bhalaa is jazba-e-taamir kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kyaa kohkan ki koh-kani kyaa junun-e-qais
vaadi-e-ishq mein ye maqaam ibtidaa ke hain
tire hi pyaar ne kyaa dil ko vusatein bakhshin
ki gham mein ghair ke dil be-qaraar hotaa hai
mohabbat rang de jaati hai jab dil dil se miltaa hai
magar mushkil to ye hai dil baDi mushkil se miltaa hai
kamaal-e-ishq to dekho vo aa gae lekin
vahi hai shauq vahi intizaar baaqi hai